jab koi shaKHs nigahon mein khaTak jata hai
jab koī shaḳhs nigāhoñ meñ khaTak jaatā hai
koī bhī jurm kare us pe hī shak jaatā hai
un nigāhoñ ko kabhī ġhaur se paḌhtā hī nahīñ
ġhaur karne se mirā dhyān bhaTak jaatā hai
itnī jaldī koī qurbat bhī baḌhātā hai kahīñ
terā dil hai ke dupaTTa hai sarak jaatā hai
roz ik aag dahaktī hai mirī āñkhoñ meñ
roz paanī koī chehre pe chhiḌak jaatā hai
itr ho phuul ho kesar ho hinā ho kyā ho
tum ko sochūñ to mirā kamra mahak jaatā hai
ishq un se mirā hogā bhī mukammal kaise
ain par hī merā iz.hār aTak jaatā hai
bas yahī soch ke ḳhāmosh rahā huuñ 'harshit'
dard hotā hai to chehre se jhalak jaatā hai
jab koi shaKHs nigahon mein khaTak jata hai
koi bhi jurm kare us pe hi shak jata hai
un nigahon ko kabhi ghaur se paDhta hi nahin
ghaur karne se mera dhyan bhaTak jata hai
itni jaldi koi qurbat bhi baDhata hai kahin
tera dil hai ke dupaTTa hai sarak jata hai
roz ek aag dahakti hai meri aankhon mein
roz pani koi chehre pe chhiDak jata hai
itr ho phul ho kesar ho hina ho kya ho
tum ko sochun to mera kamra mahak jata hai
ishq un se mera hoga bhi mukammal kaise
ain par hi mera izhaar aTak jata hai
bas yahi soch ke KHamosh raha hun 'harshit'
dard hota hai to chehre se jhalak jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.