jab koi tang-haal hota hai
jab koī tang-hāl hotā hai
har taraf sirf jaal hotā hai
dīn-o-maz.hab kī koī qaid nahīñ
'ishq meñ sab halāl hotā hai
jab vo gulshan meñ paañv rakhte haiñ
tab guloñ par zavāl hotā hai
muddatoñ hijr meñ taḌapte haiñ
chand lamha visāl hotā hai
koī jab chhoḌ jaa.e rāhoñ meñ
hausla tab nidhāl hotā hai
hijr meñ ḳhud-kushī to hai āsāñ
zinda rahnā kamāl hotā hai
tark kar ke 'asar' ta'alluq ko
kyā use kuchh malāl hotā hai
jab koi tang-haal hota hai
har taraf sirf jal hota hai
din-o-mazhab ki koi qaid nahin
'ishq mein sab halal hota hai
jab wo gulshan mein panw rakhte hain
tab gulon par zawal hota hai
muddaton hijr mein taDapte hain
chand lamha visal hota hai
koi jab chhoD jae rahon mein
hausla tab nidhaal hota hai
hijr mein KHud-kushi to hai aasan
zinda rahna kamal hota hai
tark kar ke 'asar' ta'alluq ko
kya use kuchh malal hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.