jab kucha-kucha maqtal ho tab zikr-e-gulistan kya mani
jab kūcha-kūcha maqtal ho tab zikr-e-gulistāñ kyā mā'nī
jab aag meñ zinda jism jaleñ tab jashn-e-bahārāñ kyā maanī
masmūm fazā har samt dhuāñ parvāz kareñ taa.ir kaise
jab shāḳh-e-nasheman jaltī ho bulbul ho ġhazal-ḳhvāñ kyā mā'nī
us qāfile kā luTnā Thahrā qazzāq ho jis kā rāh-numā
gulchīñ ho jo apnī fitrat se gulshan kā nigahbāñ kyā mā'nī
jis 'ilm ke zahr se insāñ bhī ḳhūñḳhār darinde ban jaa.eñ
is amn-o-amāñ kī bastī meñ vo 'ilm farāvāñ kyā mā'nī
jis kā maslak ho nasl-kushī jis kā maqsad qatl-o-ġhārat
vo aadmī hindū kyā matlab vo mard musalmāñ kyā mā'nī
is kurra-e-arz pe likkhā hai mazlūmī-e-ādam kā qissa
haañ chhīn jhapaT kī tahzībeñ āzādī-e-insāñ kyā mā'nī
jab kucha-kucha maqtal ho tab zikr-e-gulistan kya ma'ni
jab aag mein zinda jism jalen tab jashn-e-bahaaran kya mani
masmum faza har samt dhuan parwaz karen tair kaise
jab shaKH-e-nasheman jalti ho bulbul ho ghazal-KHwan kya ma'ni
us qafile ka luTna Thahra qazzaq ho jis ka rah-numa
gulchin ho jo apni fitrat se gulshan ka nigahban kya ma'ni
jis 'ilm ke zahr se insan bhi KHunKHar darinde ban jaen
is amn-o-aman ki basti mein wo 'ilm farawan kya ma'ni
jis ka maslak ho nasl-kushi jis ka maqsad qatl-o-ghaarat
wo aadmi hindu kya matlab wo mard musalman kya ma'ni
is kurra-e-arz pe likkha hai mazlumi-e-adam ka qissa
han chhin jhapaT ki tahziben aazadi-e-insan kya ma'ni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.