jab lab se mere harf-e-sadaqat nikal aae
jab lab se mire harf-e-sadāqat nikal aa.e
kuchh log liye sang-e-malāmat nikal aa.e
yā-rab koī aisī kahīñ sūrat nikal aa.e
nā-karda gunāhoñ kī bhī hasrat nikal aa.e
uTThe jo kahīñ sho.ala lahū de ke bujhā de
mumkin hai koī rāh-e-mohabbat nikal aa.e
ā.īne ko is shahr-e-havas meñ na liye phir
mushkil hai yahāñ se vo salāmat nikal aa.e
jis ḳhvāb ko ta.abīr ke laa.eq nahīñ samjhā
vo ḳhvāb agar apnā haqīqat nikal aa.e
kahne pe chalo toḌ leñ har shaḳhs se rishta
is meñ jo koī un kī siyāsat nikal aa.e
ḳhushbū hai kisī raaz kī siine meñ hamāre
mat chheḌ ki iz.hār-e-haqīqat nikal aa.e
har saañs pe rahtā hai jahāñ jabr kā pahra
maqtal se koī kaise salāmat nikal aa.e
bartā hai kuchh is rang se lafzoñ ko ġhazal meñ
mumkin hai ki is meñ bhī alāmat nikal aa.e
kar fikr ke ā.īne se har lamha na.ī baat
mumkin hai 'nazar' is tarah qāmat nikal aa.e
jab lab se mere harf-e-sadaqat nikal aae
kuchh log liye sang-e-malamat nikal aae
ya-rab koi aisi kahin surat nikal aae
na-karda gunahon ki bhi hasrat nikal aae
uTThe jo kahin shoala lahu de ke bujha de
mumkin hai koi rah-e-mohabbat nikal aae
aaine ko is shahr-e-hawas mein na liye phir
mushkil hai yahan se wo salamat nikal aae
jis KHwab ko tabir ke laeq nahin samjha
wo KHwab agar apna haqiqat nikal aae
kahne pe chalo toD len har shaKHs se rishta
is mein jo koi un ki siyasat nikal aae
KHushbu hai kisi raaz ki sine mein hamare
mat chheD ki izhaar-e-haqiqat nikal aae
har sans pe rahta hai jahan jabr ka pahra
maqtal se koi kaise salamat nikal aae
barta hai kuchh is rang se lafzon ko ghazal mein
mumkin hai ki is mein bhi alamat nikal aae
kar fikr ke aaine se har lamha nai baat
mumkin hai 'nazar' is tarah qamat nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.