jab lagi aanch to shoale se sharare TuTe
Interesting Fact
1975
jab lagī aañch to sho.ale se sharāre TuuTe
baḌh ga.ī raat kī zulmat to sitāre TuuTe
ishq kā naaz vafā husn kā ehsān jafā
ham jo TuuTe to mohabbat ke idāre TuuTe
ab khulā raaz ki haiñ ḳhvāb hī duniyā ke sutūn
zalzale aa.e haiñ jab ḳhvāb hamāre TuuTe
vo kahīñ chhoḌ na de ye na jafā ho jaa.e
ek janjāl se chhūTe jo sahāre TuuTe
ham ġhubāroñ ke sahāre to bahut auj pe the
jab haqīqat kī lagī dhuup ġhubār TuuTe
ab to kuchh jaañ hī salāmat hai na tan hī mahfūz
sab ko ujlat sabhī ḳhud-kār ishāre TuuTe
jab lagi aanch to shoale se sharare TuTe
baDh gai raat ki zulmat to sitare TuTe
ishq ka naz wafa husn ka ehsan jafa
hum jo TuTe to mohabbat ke idare TuTe
ab khula raaz ki hain KHwab hi duniya ke sutun
zalzale aae hain jab KHwab hamare TuTe
wo kahin chhoD na de ye na jafa ho jae
ek janjal se chhuTe jo sahaare TuTe
hum ghubaron ke sahaare to bahut auj pe the
jab haqiqat ki lagi dhup ghubar TuTe
ab to kuchh jaan hi salamat hai na tan hi mahfuz
sab ko ujlat sabhi KHud-kar ishaare TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.