Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab lahu chashm ke kuzon se chhalakta paya

Sharib Mauranwi

jab lahu chashm ke kuzon se chhalakta paya

Sharib Mauranwi

MORE BYSharib Mauranwi

    jab lahū chashm ke kūzoñ se chhalaktā paayā

    tab kahīñ ke maiñ ehsās ko bahlā paayā

    zulm ke saath maqtal meñ khaḌā thā sūraj

    sabr ke mom ko lekin kahāñ pighlā paayā

    alqamā bhuul ga.ī lazzat-e-sairābī-e-jāñ

    us ne jab pyaas ko qurb-e-sar-e-dariyā paayā

    chīḳhtī rah ga.ī sahrā meñ ḳhamoshī-e-‘avām

    zulm ne nasb kiyā dasht meñ pahlā paayā

    pyaas ke dasht meñ papḌā.e laboñ par us ne

    jab zabāñ pherī to maqtal nazārā paayā

    ashk ne rakh diye palkoñ salīboñ pe gale

    tab mirī āñkhoñ ne kausar kinārā paayā

    bas vahī gauhar-e-nāyāb haiñ baḳhshish ke liye

    dīda-e-ḳhvāb se 'shārib' jinheñ chhalkā paayā

    jab lahu chashm ke kuzon se chhalakta paya

    tab kahin ja ke main ehsas ko bahla paya

    zulm ke sath hi maqtal mein khaDa tha suraj

    sabr ke mom ko lekin kahan pighla paya

    alqama bhul gai lazzat-e-sairabi-e-jaan

    us ne jab pyas ko qurb-e-sar-e-dariya paya

    chiKHti rah gai sahra mein KHamoshi-e-‘awam

    zulm ne nasb kiya dasht mein pahla paya

    pyas ke dasht mein papDae labon par us ne

    jab zaban pheri to maqtal ka nazara paya

    ashk ne rakh diye palkon ki salibon pe gale

    tab meri aankhon ne kausar ka kinara paya

    bas wahi gauhar-e-nayab hain baKHshish ke liye

    dida-e-KHwab se 'shaarib' jinhen chhalka paya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now