jab mal-o-zar iman hua nuqsan hua
jab māl-o-zar īmān huā nuqsān huā
phir har jānib elaan huā nuqsān huā
the jis ke hijr meñ sher kahe vo lauT aaya
phir puurā kab dīvān huā nuqsān huā
jin yādoñ ko mahdūd kiyā vo phail ga.iiñ
un kī jānib mailān huā nuqsān huā
vo mere shahr meñ aa kar bhī nahīñ mil paayā
vo dushman kā mehmān huā nuqsān huā
phir bastī jal ke raakh huī aur log mare
bas jaarī ik farmān huā nuqsān huā
ham sab kā honā aur na honā ek sā hai
ab ye kaisā vijdān huā nuqsān huā
ab shahr meñ 'āsif' barbādī ke Dere haiñ
ibn-e-ādam bhagvān huā nuqsān huā
jab mal-o-zar iman hua nuqsan hua
phir har jaanib elan hua nuqsan hua
the jis ke hijr mein sher kahe wo lauT aaya
phir pura kab diwan hua nuqsan hua
jin yaadon ko mahdud kiya wo phail gain
un ki jaanib mailan hua nuqsan hua
wo mere shahr mein aa kar bhi nahin mil paya
wo dushman ka mehman hua nuqsan hua
phir basti jal ke rakh hui aur log mare
bas jari ek farman hua nuqsan hua
hum sab ka hona aur na hona ek sa hai
ab ye kaisa wijdan hua nuqsan hua
ab shahr mein 'asif' barbaadi ke Dere hain
ibn-e-adam bhagwan hua nuqsan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.