jab main un ke makan se nikla
jab maiñ un ke makān se niklā
aañkh se ḳhuuñ bhī shaan se niklā
dard-e-dil baḌh gayā mirā had se
jaane kyā kyā zabān se niklā
maiñ ne kitne sitam uThā.e haiñ
raat din imtihān se niklā
ho ga.e us ke nuur ke qaa.il
chāñd jab āsmān se niklā
raushnā.ī bahut zarūrī thī
ḳhuun bhī itmīnān se niklā
phir kabhī lauT kar nahīñ aayā
aadmī jab jahān se niklā
ḳhuuñ mirā ashk meñ badal ke 'dharam'
she'r ban kar divān se niklā
jab main un ke makan se nikla
aankh se KHun bhi shan se nikla
dard-e-dil baDh gaya mera had se
jaane kya kya zaban se nikla
main ne kitne sitam uThae hain
raat din imtihan se nikla
ho gae us ke nur ke qail
chand jab aasman se nikla
raushnai bahut zaruri thi
KHun bhi itminan se nikla
phir kabhi lauT kar nahin aaya
aadmi jab jahan se nikla
KHun mera ashk mein badal ke 'dharam'
she'r ban kar diwan se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.