jab makinon ko makin aaram de sakte nahin
jab makīnoñ ko makīñ ārām de sakte nahīñ
chār-dīvārī ko ghar kā naam de sakte nahīñ
zindagī ne baḳhsh dī hai vo ‘adīm-ul-fursatī
ab to ḳhud ko apne sub.h-o-shām de sakte nahīñ
shāmat-e-ā’māl se ham par musallat ho gayā
ham amīr-e-shahr ko ilzām de sakte nahīñ
dosto karte raheñge aap ke haq meñ du'ā
aur to ḳhidmat koī anjām de sakte nahīñ
pal rahe haiñ kitne bachche rūkhī-sūkhī par 'munīr'
ham unheñ chilġhoza-o-bādām de sakte nahīñ
jab makinon ko makin aaram de sakte nahin
chaar-diwari ko ghar ka nam de sakte nahin
zindagi ne baKHsh di hai wo ‘adim-ul-fursati
ab to KHud ko apne subh-o-sham de sakte nahin
shamat-e-a’mal se hum par musallat ho gaya
hum amir-e-shahr ko ilzam de sakte nahin
dosto karte rahenge aap ke haq mein du'a
aur to KHidmat koi anjam de sakte nahin
pal rahe hain kitne bachche rukhi-sukhi par 'munir'
hum unhen chilghoza-o-baadam de sakte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.