jab mayassar hai ki shaghl-e-baada-o-mina karen
jab mayassar hai ki shaghl-e-baada-o-mina karen
Rashid Shahjahanpuri
MORE BYRashid Shahjahanpuri
jab mayassar hai ki shaġhl-e-bāda-o-mīnā kareñ
kyoñ ġham-e-imroz kyoñ andesha-e-fardā kareñ
qābil-e-tāzīr hoñ ham bhī agar shikva kareñ
un ko mashq-e-jaur karnā hai bahut achchhā kareñ
dil ye kahtā hai unheñ āThoñ pahar dekhā kareñ
aah ai ehsās-e-nām-o-nang tujh ko kyā kareñ
husn hai sargarm-e-jalva ishq hai be-tāb-e-shauq
ab batā.e koī arbāb-e-mohabbat kyā kareñ
bas ki dāman-gīr hai nāmūs-e-ulfat kā ḳhayāl
hāl-e-dil un ko sunā aane kī sūrat kyā kareñ
naama likh sakte nahīñ un ko bulā sakte nahīñ
yā-ḳhudā dard-e-mohabbat kā mudāvā kyā kareñ
al-madad ai marg rāz-e-ġham huā jaatā hai faash
dil ko thāmeñ dīda-e-tar ko sambhāleñ kyā kareñ
ho chalī hai iltifāt-andesh fitrat husn kī
vaqt hai ahl-e-mohabbat aur istiġhnā kareñ
iltifāt-e-sāqī-e-mai-ḳhāna hāsil hai 'rashīd'
aaj bhī kyoñ ehtimām-e-hasrat-e-duniyā kareñ
jab mayassar hai ki shaghl-e-baada-o-mina karen
kyon gham-e-imroz kyon andesha-e-farda karen
qabil-e-tazir hon hum bhi agar shikwa karen
un ko mashq-e-jaur karna hai bahut achchha karen
dil ye kahta hai unhen aaThon pahar dekha karen
aah ai ehsas-e-nam-o-nang tujh ko kya karen
husn hai sargarm-e-jalwa ishq hai be-tab-e-shauq
ab batae koi arbab-e-mohabbat kya karen
bas ki daman-gir hai namus-e-ulfat ka KHayal
haal-e-dil un ko suna aane ki surat kya karen
nama likh sakte nahin un ko bula sakte nahin
ya-KHuda dard-e-mohabbat ka mudawa kya karen
al-madad ai marg raaz-e-gham hua jata hai fash
dil ko thamen dida-e-tar ko sambhaalen kya karen
ho chali hai iltifat-andesh fitrat husn ki
waqt hai ahl-e-mohabbat aur istighna karen
iltifat-e-saqi-e-mai-KHana hasil hai 'rashid'
aaj bhi kyon ehtimam-e-hasrat-e-duniya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.