jab mere qabile ke tumhein log milenge
jab mere qabīle ke tumheñ log mileñge
āñkhoñ meñ baseñge to kabhī dil meñ raheñge
aao to zarā dekho vafā-zādoñ kī bastī
har kūche meñ yaañ log vafādār mileñge
kyā likkhā hai taqdīr meñ ye rab ko hai ma.alūm
kuchh roz to ham tere liye ḳhvāb buneñge
is ishq kī kaThinā.ī se uktā.e hue log
mar jā.eñge lekin ye mohabbat na kareñge
ye jaan leñ ahbāb mirī maañ kī duā hai
bahlāne ko dil chāñd sitāre bhī jhukeñge
ye sach hai anā apnī hameñ jaan se pyārī
miT jā.eñge is kā kabhī saudā na kareñge
jab mere qabile ke tumhein log milenge
aankhon mein basenge to kabhi dil mein rahenge
aao to zara dekho wafa-zadon ki basti
har kuche mein yan log wafadar milenge
kya likkha hai taqdir mein ye rab ko hai malum
kuchh roz to hum tere liye KHwab bunenge
is ishq ki kaThinai se uktae hue log
mar jaenge lekin ye mohabbat na karenge
ye jaan len ahbab meri man ki dua hai
bahlane ko dil chand sitare bhi jhukenge
ye sach hai ana apni hamein jaan se pyari
miT jaenge is ka kabhi sauda na karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.