jab mohabbat ki faza Thik nazar aati hai
jab mohabbat kī fazā Thiik nazar aatī hai
duur kī chiiz bhī nazdīk nazar aatī hai
tū mire sāmne chamkā hai baḌī der ke baa'd
ab mujhe raushnī tārīk nazar aatī hai
log chalte haiñ phisal jaate haiñ gir jaate haiñ
zindagī baal se bārīk nazar aatī hai
ruuh se sher na nikle to nazar vāloñ ko
jism kī shā.erī taz.hīk nazar aatī hai
gāmzan saare musāfir haiñ magar sū-e-murād
sirf ushshāq meñ tahrīk nazar aatī hai
jab mohabbat ki faza Thik nazar aati hai
dur ki chiz bhi nazdik nazar aati hai
tu mere samne chamka hai baDi der ke ba'd
ab mujhe raushni tarik nazar aati hai
log chalte hain phisal jate hain gir jate hain
zindagi baal se barik nazar aati hai
ruh se sher na nikle to nazar walon ko
jism ki shaeri tazhik nazar aati hai
gamzan sare musafir hain magar su-e-murad
sirf ushshaq mein tahrik nazar aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.