jab mufakkir mere andaz-e-bayan tak pahunche
jab mufakkir mire andāz-e-bayāñ tak pahuñche
merī hālat mire har rāz-e-nihāñ tak pahuñche
vādī-e-ishq meñ ham log jahāñ tak pahuñche
koī majnūñ na koī qais vahāñ tak pahuñche
tifl baaqī na rahe pīr-o-javāñ tak pahuñche
merā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche
aise shiddat se gale us ne lagāyā mujh ko
tiir jaise koī āġhosh-e-kamāñ tak pahuñche
kūcha-e-yār se ġhusse meñ nikal aaya thā
us ne pūchhā bhī nahīñ aap kahāñ tak pahuñche
apne dil ke kisī goshe meñ hameñ rahne de
baḌī mushkil se mirī jaan yahāñ tak pahuñche
ye koī ishq nahīñ ham jo kiyā karte haiñ
ishq aisā ho ki sar nok-e-sināñ tak pahuñche
chashm-e-tārīḳh na dekhegī ab aise pyāse
ek qatra na piyā āb-e-ravāñ tak pahuñche
salb kar legā ḳhudā aap se saarī ḳhushiyāñ
talḳh alfāz agar baap yā maañ tak pahuñche
nafs qaabū meñ rahe hosh rahe izzat kā
jab koī ibn-e-fulāñ bint-e-fulāñ tak pahuñche
apne māshūq se maiñ ishq kā iz.hār karūñ
merī āvāz jo dahlīz-e-samāñ tak pahuñche
dād-o-tahsīn se duniyā ne navāzā mujh ko
sher ban kar jo mire dard zabāñ tak pahuñche
baad marne ke ye marqad meñ pukārā 'mehvar'
ḳhair se dosto ham apne makāñ tak pahuñche
jab mufakkir mere andaz-e-bayan tak pahunche
meri haalat mere har raaz-e-nihan tak pahunche
wadi-e-ishq mein hum log jahan tak pahunche
koi majnun na koi qais wahan tak pahunche
tifl baqi na rahe pir-o-jawan tak pahunche
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
aise shiddat se gale us ne lagaya mujh ko
tir jaise koi aaghosh-e-kaman tak pahunche
kucha-e-yar se ghusse mein nikal aaya tha
us ne puchha bhi nahin aap kahan tak pahunche
apne dil ke kisi goshe mein hamein rahne de
baDi mushkil se meri jaan yahan tak pahunche
ye koi ishq nahin hum jo kiya karte hain
ishq aisa ho ki sar nok-e-sinan tak pahunche
chashm-e-tariKH na dekhegi ab aise pyase
ek qatra na piya aab-e-rawan tak pahunche
salb kar lega KHuda aap se sari KHushiyan
talKH alfaz agar bap ya man tak pahunche
nafs qabu mein rahe hosh rahe izzat ka
jab koi ibn-e-fulan bint-e-fulan tak pahunche
apne mashuq se main ishq ka izhaar karun
meri aawaz jo dahliz-e-saman tak pahunche
dad-o-tahsin se duniya ne nawaza mujh ko
sher ban kar jo mere dard zaban tak pahunche
baad marne ke ye marqad mein pukara 'mehwar'
KHair se dosto hum apne makan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.