jab mujhe koi dua de muskurane ke liye
jab mujhe koī duā de muskurāne ke liye
maiñ samajhtā huuñ davā hai ġham bhulāne ke liye
ġham na khā dil nā-tavāñ mushkil masā.ib dekh kar
haiñ havādis āshiqoñ ko āzmāne ke liye
ik tabassum bhī tirā kaafī hai jaañ mahshar talak
ham faqīroñ kī baqā bigḌī banāne ke liye
jo piro kar de rahā huuñ motiyoñ se shā.erī
musta.id itnā nahīñ sab kuchh sunāne ke liye
ik tamāshā sā samajh kar vo kahīñ chalte bane
raqs karte aa.e ham jin ko lubhāne ke liye
is mohabbat ke chaman meñ ik nasheman kī hai chaah
gar 'jamālī' ko ijāzat ho banāne ke liye
jab mujhe koi dua de muskurane ke liye
main samajhta hun dawa hai gham bhulane ke liye
gham na kha dil na-tawan mushkil masaib dekh kar
hain hawadis aashiqon ko aazmane ke liye
ek tabassum bhi tera kafi hai jaan mahshar talak
hum faqiron ki baqa bigDi banane ke liye
jo piro kar de raha hun motiyon se shaeri
mustaid itna nahin sab kuchh sunane ke liye
ek tamasha sa samajh kar wo kahin chalte bane
raqs karte aae hum jin ko lubhane ke liye
is mohabbat ke chaman mein ek nasheman ki hai chah
gar 'jamali' ko ijazat ho banane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.