jab mujhe maut aa rahi hogi
jab mujhe maut aa rahī hogī
sāmne puurī zindagī hogī
chīḳh kar koī thak chukā hogā
tab kahīñ ḳhāmushī huī hogī
sochtā huuñ ki jab na hoge tum
baa'd bhī us ke zindagī hogī
hijr kī shab ke baa'd mere liye
hijr kī ek sub.h bhī hogī
baat raaja pe aa ga.ī hai ab
us ko pyādoñ kī fikr bhī hogī
mere aane se kyā baḌhā thā kuchh
mere jaane se kyā kamī hogī
mere mahfil se jaane par bhī 'shams'
dam-ba-dam yuuñ hī shā'irī hogī
jab mujhe maut aa rahi hogi
samne puri zindagi hogi
chiKH kar koi thak chuka hoga
tab kahin KHamushi hui hogi
sochta hun ki jab na hoge tum
ba'd bhi us ke zindagi hogi
hijr ki shab ke ba'd mere liye
hijr ki ek subh bhi hogi
baat raja pe aa gai hai ab
us ko pyaadon ki fikr bhi hogi
mere aane se kya baDha tha kuchh
mere jaane se kya kami hogi
mere mahfil se jaane par bhi 'shams'
dam-ba-dam yun hi sha'iri hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.