jab mujhe rah se haTaya gaya
jab mujhe raah se haTāyā gayā
is qadar shor kyoñ machāyā gayā
jis galī tak thā us kā naqsh-e-qadam
us galī tak bhī merā saayā gayā
is qadar us ko mujh se nafrat thī
shahr-e-hasrat hī kyoñ basāyā gayā
maiñ kahāñ māntā thā duniyā kī
terā kah kar mujhe manāyā gayā
sansanī sī badan meñ phail ga.ī
aa.ine ko maiñ jab dikhāyā gayā
mujh ko ai shahr terī galiyoñ meñ
pā-ba-zanjīr kyoñ phirāyā gayā
ham ne kyā dukh sahe zamāne ke
pyaas ko ashk se bujhāyā gayā
maiñ to duniyā ko rauñd baiThā thā
mujh meñ kis shaḳhs ko jagāyā gayā
mere sheroñ kā somras pī kar
mujh ko zahrāb kyoñ pilāyā gayā
us jagah phuul hai na titlī hai
jis jagah dil mirā bichhāyā gayā
mahram-e-ishq the ka.ī 'shahzād'
zabt merā hī āzmāyā gayā
jab mujhe rah se haTaya gaya
is qadar shor kyon machaya gaya
jis gali tak tha us ka naqsh-e-qadam
us gali tak bhi mera saya gaya
is qadar us ko mujh se nafrat thi
shahr-e-hasrat hi kyon basaya gaya
main kahan manta tha duniya ki
tera kah kar mujhe manaya gaya
sansani si badan mein phail gai
aaine ko main jab dikhaya gaya
mujh ko ai shahr teri galiyon mein
pa-ba-zanjir kyon phiraya gaya
hum ne kya dukh sahe zamane ke
pyas ko ashk se bujhaya gaya
main to duniya ko raund baiTha tha
mujh mein kis shaKHs ko jagaya gaya
mere sheron ka somras pi kar
mujh ko zahrab kyon pilaya gaya
us jagah phul hai na titli hai
jis jagah dil mera bichhaya gaya
mahram-e-ishq the kai 'shahzad'
zabt mera hi aazmaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.