jab mulaqat ka imkan nahin hota tha
jab mulāqāt kā imkān nahīñ hotā thā
fāsla Thiik thā nuqsān nahīñ hotā thā
ham use dekh ke chup-chāp guzar jaate the
vaise ye itnā bhī āsān nahīñ hotā thā
tū ḳhafā hai to pareshān use dekhte haiñ
jo kisī taur pareshān nahīñ hotā thā
pahle pahle mujhe zaḳhmoñ kī samajh thī hī nahīñ
phuul hote the to guldān nahīñ hotā thā
bhuuk baḌhtī to charāġhoñ ko bujhānā paḌtā
ghar meñ chāhe koī mehmān nahīñ hotā thā
ik tavāzun thā mire paas bahut aa.ine the
aur patthar kā bhī fuqdān nahīñ hotā thā
maiñ ne us dukh ko bhī māyūs nahīñ hone diyā
jo mire zabt ke shāyān nahīñ hotā thā
jab mulaqat ka imkan nahin hota tha
fasla Thik tha nuqsan nahin hota tha
hum use dekh ke chup-chap guzar jate the
waise ye itna bhi aasan nahin hota tha
tu KHafa hai to pareshan use dekhte hain
jo kisi taur pareshan nahin hota tha
pahle pahle mujhe zaKHmon ki samajh thi hi nahin
phul hote the to guldan nahin hota tha
bhuk baDhti to charaghon ko bujhana paDta
ghar mein chahe koi mehman nahin hota tha
ek tawazun tha mere pas bahut aaine the
aur patthar ka bhi fuqdan nahin hota tha
main ne us dukh ko bhi mayus nahin hone diya
jo mere zabt ke shayan nahin hota tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.