jab na tab laDne hi ko tayyar ho
jab na tab laḌne hī ko tayyār ho
ḳhush raho sāhib agar bezār ho
kahte haiñ sab yaar se kah hāl-e-dil
chup rahūñ kyoñ gar lab-e-iz.hār ho
so.oge yārān-e-rafta kab talak
aaj roz-e-hashr hai bedār ho
itne sin meñ ye sharārat hai ġhazab
ho to laḌke par baḌe ayyār ho
kis tarah taḌpe na vo terī nigāh
tiir sī jis ke jigar ke paar ho
ḳhaak dekhe lāla-o-gul kī taraf
yaar kā jo tālib-e-dīdār ho
kārvān-e-umr kā hai jald kuuch
vaqt ġhaflat kā nahīñ bedār ho
gar nahīñ manzūr hai marnā mirā
is qadar kyoñ dar-pa-e-āzār ho
haal apnā qābil-e-guftan nahīñ
kahiye us se jab koī ġham-ḳhvār ho
ek aalam ġharq ho lohū meñ gar
auj-e-mauj-e-dīda-e-ḳhūñ-bār ho
kyā urūj-e-ishq hai 'nāmī' ki jab
daar par sar ho.e tab sardār ho
jab na tab laDne hi ko tayyar ho
KHush raho sahib agar bezar ho
kahte hain sab yar se kah haal-e-dil
chup rahun kyon gar lab-e-izhaar ho
sooge yaran-e-rafta kab talak
aaj roz-e-hashr hai bedar ho
itne sin mein ye shararat hai ghazab
ho to laDke par baDe ayyar ho
kis tarah taDpe na wo teri nigah
tir si jis ke jigar ke par ho
KHak dekhe lala-o-gul ki taraf
yar ka jo talib-e-didar ho
karwan-e-umr ka hai jald kuch
waqt ghaflat ka nahin bedar ho
gar nahin manzur hai marna mera
is qadar kyon dar-pa-e-azar ho
haal apna qabil-e-guftan nahin
kahiye us se jab koi gham-KHwar ho
ek aalam gharq ho lohu mein gar
auj-e-mauj-e-dida-e-KHun-bar ho
kya uruj-e-ishq hai 'nami' ki jab
dar par sar hoe tab sardar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.