jab na ye aKHtar-shumari jaegi
jab na ye aḳhtar-shumārī jā.egī
kis tarah phir be-qarārī jā.egī
dhaḌkanoñ ko āñsuoñ meñ ghol kar
hijr kī rangat nikhārī jā.egī
chāñdnī ke desh jā kar ḳhvāb meñ
vasl kī sūrat sañvārī jā.egī
āñsuoñ kī bevafā.ī ke sabab
aaj shab tanhā guzārī jā.egī
zindagī kī surma.ī chausar tale
ek baazī aur haarī jā.egī
qarz miTTī kā jo baaqī rah gayā
hashr ke din tak udhārī jā.egī
jab na ye aKHtar-shumari jaegi
kis tarah phir be-qarari jaegi
dhaDkanon ko aansuon mein ghol kar
hijr ki rangat nikhaari jaegi
chandni ke desh ja kar KHwab mein
wasl ki surat sanwari jaegi
aansuon ki bewafai ke sabab
aaj shab tanha guzari jaegi
zindagi ki surmai chausar tale
ek bazi aur haari jaegi
qarz miTTi ka jo baqi rah gaya
hashr ke din tak udhaari jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.