jab naz-e-ishq husn ke qabil nahin raha
jab nāz-e-ishq husn ke qābil nahīñ rahā
phir vo kuchh aur hī hai mirā dil nahīñ rahā
kahtī hai dil ke haal pe ghabrā ke be-ḳhudī
ye aap meñ bhī aane ke qābil nahīñ rahā
ik jalva pesh pesh hai aur baḌh rahe haiñ ham
ab kuchh ḳhayāl-e-dūrī-e-manzil nahīñ rahā
duniyā yahī hai shak hai to is ko miTā ke dekh
phir kuchh nahīñ jahān meñ jab dil nahīñ rahā
puurī jazā milegī isī dil ko hashr meñ
jis ko ḳhayāl-e-shikva-e-qātil nahīñ rahā
tamkīñ ġhazab hai sāqī-e-daur-e-alast meñ
shāyad ḳhayāl-e-garmī-e-mahfil nahīñ rahā
duniyā se pūchh dekh koī zarra dahr kā
taz.īn-e-kā.enāt se ġhāfil nahīñ rahā
zīnat pe kā.enāt kī jaane lagī nazar
ab maiñ tire ḳhayāl ke qābil nahīñ rahā
bas kar ujaḌ chukī haiñ umangoñ kī bastiyāñ
duniyā meñ shaad aaj koī dil nahīñ rahā
afsurdagī kī jaan hai āzurdagī kī ruuh
jo valvaloñ kī jaan thā vo dil nahīñ rahā
hai kal kī baat thā yahī duniyā-e-husn-o-ishq
vīrāna-e-malāl hai ab dil nahīñ rahā
'beḳhud' kisī ke nāz-e-duī-soz kī qasam
kaisī nazar ḳhayāl bhī haa.il nahīñ rahā
jab naz-e-ishq husn ke qabil nahin raha
phir wo kuchh aur hi hai mera dil nahin raha
kahti hai dil ke haal pe ghabra ke be-KHudi
ye aap mein bhi aane ke qabil nahin raha
ek jalwa pesh pesh hai aur baDh rahe hain hum
ab kuchh KHayal-e-duri-e-manzil nahin raha
duniya yahi hai shak hai to is ko miTa ke dekh
phir kuchh nahin jahan mein jab dil nahin raha
puri jaza milegi isi dil ko hashr mein
jis ko KHayal-e-shikwa-e-qatil nahin raha
tamkin ghazab hai saqi-e-daur-e-alast mein
shayad KHayal-e-garmi-e-mahfil nahin raha
duniya se puchh dekh koi zarra dahr ka
tazin-e-kaenat se ghafil nahin raha
zinat pe kaenat ki jaane lagi nazar
ab main tere KHayal ke qabil nahin raha
bas kar ujaD chuki hain umangon ki bastiyan
duniya mein shad aaj koi dil nahin raha
afsurdagi ki jaan hai aazurdagi ki ruh
jo walwalon ki jaan tha wo dil nahin raha
hai kal ki baat tha yahi duniya-e-husn-o-ishq
virana-e-malal hai ab dil nahin raha
'beKHud' kisi ke naz-e-dui-soz ki qasam
kaisi nazar KHayal bhi hail nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.