jab nai fikr KHayalon mein numu pati hai
jab na.ī fikr ḳhayāloñ meñ numū paatī hai
ḳhushbū-e-rūh-e-suḳhan dil meñ utar aatī hai
mere hoñToñ pe lapaktā hai vo naġhma ban kar
zindagī saaz meñ āvāz meñ Dhal jaatī hai
tū ne āñkhoñ meñ sajā.e haiñ ka.ī taaj mahal
merī chāhat tirī āñkhoñ meñ nazar aatī hai
maiñ ne gardūñ ko chunā jab se hai maskan apnā
shauq-e-parvāz na.e rāste dikhlātī hai
go safar meñ ho magar zād-e-safar kam rakhnā
zindagī bojh uThāte hue ghabrātī hai
maiñ ne qudrat ke usūloñ se ye samjhā 'bāsit'
dard kī kokh hī taḳhlīq-e-sahar laatī hai
jab nai fikr KHayalon mein numu pati hai
KHushbu-e-ruh-e-suKHan dil mein utar aati hai
mere honTon pe lapakta hai wo naghma ban kar
zindagi saz mein aawaz mein Dhal jati hai
tu ne aankhon mein sajae hain kai taj mahal
meri chahat teri aankhon mein nazar aati hai
main ne gardun ko chuna jab se hai maskan apna
shauq-e-parwaz nae raste dikhlati hai
go safar mein ho magar zad-e-safar kam rakhna
zindagi bojh uThate hue ghabraati hai
main ne qudrat ke usulon se ye samjha 'basit'
dard ki kokh hi taKHliq-e-sahar lati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.