jab naya moD lene ko thi zindagi waqt ne ek nai dastan baKHsh di
jab naya moD lene ko thi zindagi waqt ne ek nai dastan baKHsh di
Parveen Sultana Saba
MORE BYParveen Sultana Saba
jab nayā moḌ lene ko thī zindagī vaqt ne ik na.ī dāstāñ baḳhsh dī
naam un kā mire dil pe kanda kiyā yuuñ mujhe zindagī jāvedāñ baḳhsh dī
us kī nazroñ ne kuchh aisā jaadū kiyā tāqchoñ meñ diye jhilmilāne lage
ik diyā jal uThā hujra-e-qalb meñ jis ne ulfat ko saut-e-azāñ baḳhsh dī
merī āñkheñ mire kaan merī zabāñ hākim-e-vaqt ne rehn meñ rakh liye
haath pairoñ ko kaTvā diyā baad meñ par ye ehsāñ kiyā merī jaañ baḳhsh dī
husn ko dī adā ishq ko dī vafā is tarah se musāvāt qaa.em huī
jin se qaa.em musāvāt ho na sakī un ko ik fikr-e-sūd-o-ziyāñ baḳhsh dī
daulat-e-ishq kī thiiñ farāvāniyāñ hijr kā maal khul kar ḳharīdā gayā
merī palkoñ pe raushan sitāre kiye is tarah se mujhe kahkashāñ baḳhsh dī
ḳhaak ko ḳhaak karnā hī maqsad thā jab kis liye phir zamīñ par ḳhalīfa kiyā
nekiyoñ ke liye kam malā.ek na the ham ko ye zimmedārī kahāñ baḳhsh dī
ai 'sabā' ham to gūñgī re.āyā meñ the zulm ke sāmne lab hilāte na the
bolnā aa gayā ham ko haq ke liye us ne jab se qalam ko zabāñ baḳhsh dī
jab naya moD lene ko thi zindagi waqt ne ek nai dastan baKHsh di
nam un ka mere dil pe kanda kiya yun mujhe zindagi jawedan baKHsh di
us ki nazron ne kuchh aisa jadu kiya taqchon mein diye jhilmilane lage
ek diya jal uTha hujra-e-qalb mein jis ne ulfat ko saut-e-azan baKHsh di
meri aankhen mere kan meri zaban hakim-e-waqt ne rehn mein rakh liye
hath pairon ko kaTwa diya baad mein par ye ehsan kiya meri jaan baKHsh di
husn ko di ada ishq ko di wafa is tarah se musawat qaem hui
jin se qaem musawat ho na saki un ko ek fikr-e-sud-o-ziyan baKHsh di
daulat-e-ishq ki thin farawaniyan hijr ka mal khul kar KHarida gaya
meri palkon pe raushan sitare kiye is tarah se mujhe kahkashan baKHsh di
KHak ko KHak karna hi maqsad tha jab kis liye phir zamin par KHalifa kiya
nekiyon ke liye kam malaek na the hum ko ye zimmedari kahan baKHsh di
ai 'saba' hum to gungi reaya mein the zulm ke samne lab hilate na the
bolna aa gaya hum ko haq ke liye us ne jab se qalam ko zaban baKHsh di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.