jab par-e-parwaz mera aasman mein aa gaya
jab par-e-parvāz merā āsmāñ meñ aa gayā
ik parinda bhī saf-e-sayyārgāñ meñ aa gayā
maiñ pas-e-parda koī gumnām sā kirdār thā
zikr merā kaise terī dāstāñ meñ aa gayā
ye zarūrī to nahīñ hijrat parinde hī kareñ
dhuup jis ko bhī lagī vo sā.ebāñ meñ aa gayā
āsmāñ par ik diye kī lau uchhālī thī faqat
lauT kar saarā ujālā ḳhāk-dāñ meñ aa gayā
jab mirī umr-e-ravāñ uñglī pakaḌ kar chal paḌī
dekh maiñ phir se tire vahm-o-gumāñ meñ aa gayā
maiñ ne chakkhī thī kisī ke narm lahje kī miThās
kyā batā.ūñ zā.iqa kaisā zabāñ meñ aa gayā
ek sahrā chal paḌā 'ehsān' mere saath kyā
vo bhī mere halqa-e-āvārgāñ meñ aa gayā
jab par-e-parwaz mera aasman mein aa gaya
ek parinda bhi saf-e-sayyargan mein aa gaya
main pas-e-parda koi gumnam sa kirdar tha
zikr mera kaise teri dastan mein aa gaya
ye zaruri to nahin hijrat parinde hi karen
dhup jis ko bhi lagi wo saeban mein aa gaya
aasman par ek diye ki lau uchhaali thi faqat
lauT kar sara ujala KHak-dan mein aa gaya
jab meri umr-e-rawan ungli pakaD kar chal paDi
dekh main phir se tere wahm-o-guman mein aa gaya
main ne chakkhi thi kisi ke narm lahje ki miThas
kya bataun zaiqa kaisa zaban mein aa gaya
ek sahra chal paDa 'ehsan' mere sath kya
wo bhi mere halqa-e-awargan mein aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.