jab raat ka aalam hota hai jab KHwab mein KHilqat hoti hai
jab raat ka aalam hota hai jab KHwab mein KHilqat hoti hai
Razi Badayuni
MORE BYRazi Badayuni
jab raat kā 'ālam hotā hai jab ḳhvāb meñ ḳhilqat hotī hai
pūchho na tumhārī furqat meñ us vaqt jo hālat hotī hai
ye raaz hai yūñhī rahne do kyā chiiz mohabbat hotī hai
sab dil kā karishma hotā hai nazroñ kī sharārat hotī hai
ālām-o-masā.ib ke bādal har samt se umDe aate haiñ
ik ġham ke sivā mā'lūm nahīñ kyā chiiz mohabbat hotī hai
sho'le pe charāġh-e-mahfil ke ye kah ke patange Tuut paḌe
ab dekhne vaalo dekho yuuñ takmīl-e-mohabbat hotī hai
har zarra-e-ḳhākī nazroñ meñ sad-rashk-e-jināñ ban jaatā hai
taqdīr se jab ik 'āshiq ko me'rāj-e-mohabbat hotī hai
vo mashq-e-sitam farmāte haiñ lekin ye unheñ mā'lūm nahīñ
jo ‘āshiq-e-sādiq haiñ un ko taklīf bhī rāhat hotī hai
ye raaz mujhe parvānoñ ne chupke se batāyā mahfil meñ
ulfat meñ 'razī' jaañ de kar hī takmīl-e-mohabbat hotī hai
jab raat ka 'alam hota hai jab KHwab mein KHilqat hoti hai
puchho na tumhaari furqat mein us waqt jo haalat hoti hai
ye raaz hai yunhi rahne do kya chiz mohabbat hoti hai
sab dil ka karishma hota hai nazron ki shararat hoti hai
aalam-o-masaib ke baadal har samt se umDe aate hain
ek gham ke siwa ma'lum nahin kya chiz mohabbat hoti hai
sho'le pe charagh-e-mahfil ke ye kah ke patange Tut paDe
ab dekhne walo dekho yun takmil-e-mohabbat hoti hai
har zarra-e-KHaki nazron mein sad-rashk-e-jinan ban jata hai
taqdir se jab ek 'ashiq ko me'raj-e-mohabbat hoti hai
wo mashq-e-sitam farmate hain lekin ye unhen ma'lum nahin
jo ‘ashiq-e-sadiq hain un ko taklif bhi rahat hoti hai
ye raaz mujhe parwanon ne chupke se bataya mahfil mein
ulfat mein 'razi' jaan de kar hi takmil-e-mohabbat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.