jab raat ka aaseb bikhar jata hai mujh mein
jab raat kā aaseb bikhar jaatā hai mujh meñ
andar koī bachcha sā hai Dar jaatā hai mujh meñ
dil par kisī qadmoñ ke nishāñ tak nahīñ milte
ye kaun hai tezī se guzar jaatā hai mujh meñ
phir ḳhud hī bujhā detā hai qindīl-e-shab-e-ġham
phir ḳhud hī achānak kahīñ mar jaatā hai mujh meñ
maujeñ haiñ pareshāñ mire tālāb-e-badan kī
tū kaisī thakan le ke utar jaatā hai mujh meñ
ik zaḳhm ko ye raat banā detī hai sūraj
ik dard 'alassub.h ubhar jaatā hai mujh meñ
miTTī kā ghaḌā huuñ so chaTaḳh jā.uñgā ik din
bahne se ziyāda koī bhar jaatā hai mujh meñ
ik lams banā detā hai mujh ko mire jaisā
jab us kī harārat kā asar jaatā hai mujh meñ
jab raat ka aaseb bikhar jata hai mujh mein
andar koi bachcha sa hai Dar jata hai mujh mein
dil par kisi qadmon ke nishan tak nahin milte
ye kaun hai tezi se guzar jata hai mujh mein
phir KHud hi bujha deta hai qindil-e-shab-e-gham
phir KHud hi achanak kahin mar jata hai mujh mein
maujen hain pareshan mere talab-e-badan ki
tu kaisi thakan le ke utar jata hai mujh mein
ek zaKHm ko ye raat bana deti hai suraj
ek dard 'alassubh ubhar jata hai mujh mein
miTTi ka ghaDa hun so chaTaKH jaunga ek din
bahne se ziyaada koi bhar jata hai mujh mein
ek lams bana deta hai mujh ko mere jaisa
jab us ki hararat ka asar jata hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.