jab raat sanwarti hai lamhon ki rawani mein
jab raat sañvartī hai lamhoñ kī ravānī meñ
ik chāñd utartā hai tab jhiil ke paanī meñ
is āḳhirī paare meñ go zikr nahīñ varna
āġhāz meñ ai logo maiñ bhī thā kahānī meñ
chehre pe buzurgī ke asarāt batāte haiñ
ik sāneha tujh par bhī guzrā hai javānī meñ
dikhne meñ ba-zāhir to ik aam sā paudā hai
kuchh ḳhaas to hai lekin us raat kī raanī meñ
kal raat jo yādoñ ke hamrāh nazar Daalī
kuchh rang na.e dekhe tasvīr purānī meñ
har ek ḳhushī maiñ ne sauġhāt use kar dī
par us ne diyā mujh ko bas dard nishānī meñ
is shahr kā har baasī nālāñ hai 'zakī' mujh se
ab to hai baqā apnī bas naql-e-makānī meñ
jab raat sanwarti hai lamhon ki rawani mein
ek chand utarta hai tab jhil ke pani mein
is aaKHiri pare mein go zikr nahin warna
aaghaz mein ai logo main bhi tha kahani mein
chehre pe buzurgi ke asaraat batate hain
ek saneha tujh par bhi guzra hai jawani mein
dikhne mein ba-zahir to ek aam sa pauda hai
kuchh KHas to hai lekin us raat ki rani mein
kal raat jo yaadon ke hamrah nazar Dali
kuchh rang nae dekhe taswir purani mein
har ek KHushi main ne saughat use kar di
par us ne diya mujh ko bas dard nishani mein
is shahr ka har basi nalan hai 'zaki' mujh se
ab to hai baqa apni bas naql-e-makani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.