jab raat suhani hoti hai aur raqs mein tare hote hain
jab raat suhani hoti hai aur raqs mein tare hote hain
Syed Muzaffar Ahmad Ziya
MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya
jab raat suhānī hotī hai aur raqs meñ taare hote haiñ
us vaqt mohabbat ke lamhe kuchh aur bhī pyāre hote haiñ
kuchh ḳhud se lipaT kar rote haiñ kuchh rote haiñ auroñ ke ġham meñ
vo dard ke maare hote haiñ ye zarf ke maare hote haiñ
ik aisī manzil aatī hai ehsās ke nāzuk lamhoñ meñ
jab dekhne vaalā koī na ho be-tāb nazāre hote haiñ
jab dasht-navardī ke baa.is kuchh zauq-e-safar baḌh jaatā hai
duzdīda nigāheñ uThtī haiñ nādīda ishāre hote haiñ
sach kahnā zabāñ se mushkil hai sach likhnā qalam se nā-mumkin
iz.hār-e-sadāqat khel nahīñ lafzoñ meñ sharāre hote haiñ
girdāb meñ aa jaatā hai 'ziyā' jab koī safīna qismat se
maujoñ meñ talātum hotā hai aur duur kināre hote haiñ
jab raat suhani hoti hai aur raqs mein tare hote hain
us waqt mohabbat ke lamhe kuchh aur bhi pyare hote hain
kuchh KHud se lipaT kar rote hain kuchh rote hain auron ke gham mein
wo dard ke mare hote hain ye zarf ke mare hote hain
ek aisi manzil aati hai ehsas ke nazuk lamhon mein
jab dekhne wala koi na ho be-tab nazare hote hain
jab dasht-nawardi ke bais kuchh zauq-e-safar baDh jata hai
duzdida nigahen uThti hain nadida ishaare hote hain
sach kahna zaban se mushkil hai sach likhna qalam se na-mumkin
izhaar-e-sadaqat khel nahin lafzon mein sharare hote hain
girdab mein aa jata hai 'ziya' jab koi safina qismat se
maujon mein talatum hota hai aur dur kinare hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.