jab rakha usne kal ru-ba-ru aaina
jab rakhā us ne kal rū-ba-rū aa.ina
raqs karne lagā chār-sū aa.ina
dilrubā.ī ke haiñ nit-na.e zāviye
khul ke karne lagā guftugū aa.ina
chaudhvīñ raat kā chāñd jaise chaḌhā
barsar-e-āb thā jū-ba-jū aa.ina
vasl kī shab vo sharmā ke takte rahe
apnā chehra kabhū aur kabhū aa.ina
jis qadar chāho kar ke jatan dekh lo
TuuT kar bhī na badlegā ḳhū aa.ina
duur bachpan laḌakpan javānī gayā
ab buḌhāpe kī hai aabrū aa.ina
aa.ina us ne 'ḳhusrav' dikhāyā mujhe
jab kabhī bhī huā dū-badū aa.ina
jab rakha us ne kal ru-ba-ru aaina
raqs karne laga chaar-su aaina
dilrubai ke hain nit-nae zawiye
khul ke karne laga guftugu aaina
chaudhwin raat ka chand jaise chaDha
barsar-e-ab tha ju-ba-ju aaina
wasl ki shab wo sharma ke takte rahe
apna chehra kabhu aur kabhu aaina
jis qadar chaho kar ke jatan dekh lo
TuT kar bhi na badlega KHu aaina
dur bachpan laDakpan jawani gaya
ab buDhape ki hai aabru aaina
aaina us ne 'KHusraw' dikhaya mujhe
jab kabhi bhi hua du-badu aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.