jab riha ho jaunga main ranj-o-gham ke dam se
jab riha ho jaunga main ranj-o-gham ke dam se
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
jab rihā ho jā.ūñgā maiñ ranj-o-ġham ke daam se
tab kahūñgā ab guzartī hai baḌe ārām se
phirte-phirte thak ga.e ham saath kab tak us kā deñ
ab to jī ghabrā chalā hai gardish-e-ayyām se
fikr-e-duniyā ik taraf hai fikr-e-uqbā ik taraf
kis tarah guzregī yā-rab apnī ab ārām se
hai alāmat ye bhī ik merī shikast-e-tauba kī
mai pilātā hai jo saaqī mujh ko TuuTe jaam se
umr apnī sarf kar dī zulf-o-ruḳh ke dhyān meñ
kaam hī kyā is jahāñ ke ham ko sub.h-o-shām se
ḳhvāb ho gar silsila jaarī rakheñ tahrīr kā
kuchh tashaffī hotī hai is nāma-o-paiġhām se
rāt-din ranj-o-masā.ib kā hai ab to sāmnā
ik zamāna thā guzartī thī bahut ārām se
ek din vo thā ki chain aatā na thā mere baġhair
aaj vo barham hue jaate haiñ mere naam se
saḳhtiyoñ se rāt-din ham ko nahīñ miltī najāt
log kahte haiñ guzartī hai baḌe ārām se
tum usī ko sidq-e-dil se rāt-din japte raho
mushkileñ hotī haiñ āsāñ bas usī ke naam se
ġham na khānā ranj ke hai baa'd rāhat bhī zarūr
sabr karnā 'shād' guzregī bahut ārām se
jab riha ho jaunga main ranj-o-gham ke dam se
tab kahunga ab guzarti hai baDe aaram se
phirte-phirte thak gae hum sath kab tak us ka den
ab to ji ghabra chala hai gardish-e-ayyam se
fikr-e-duniya ek taraf hai fikr-e-uqba ek taraf
kis tarah guzregi ya-rab apni ab aaram se
hai alamat ye bhi ek meri shikast-e-tauba ki
mai pilata hai jo saqi mujh ko TuTe jam se
umr apni sarf kar di zulf-o-ruKH ke dhyan mein
kaam hi kya is jahan ke hum ko subh-o-sham se
KHwab ho gar silsila jari rakhen tahrir ka
kuchh tashaffi hoti hai is nama-o-paigham se
raat-din ranj-o-masaib ka hai ab to samna
ek zamana tha guzarti thi bahut aaram se
ek din wo tha ki chain aata na tha mere baghair
aaj wo barham hue jate hain mere nam se
saKHtiyon se raat-din hum ko nahin milti najat
log kahte hain guzarti hai baDe aaram se
tum usi ko sidq-e-dil se raat-din japte raho
mushkilen hoti hain aasan bas usi ke nam se
gham na khana ranj ke hai ba'd rahat bhi zarur
sabr karna 'shad' guzregi bahut aaram se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.