jab samne ki baat hi uljhi hui mile
jab sāmne kī baat hī uljhī huī mile
phir duur dekhtī huī āñkhoñ se bhī ho kyā
hāthoñ se chhū ke pahle ujālā kareñ talāsh
jab raushnī na ho to nigāhoñ se bhī ho kyā
hairat-zada se rahte haiñ apne madār par
us ke alāva chāñd sitāroñ se bhī ho kyā
pāgal na ho to aur ye paanī bhī kyā kare
vahshī na hoñ to aur havāoñ se bhī ho kyā
jab dekhne lage koī chīzoñ ke us taraf
āñkheñ bhī terī kyā kareñ bātoñ se bhī ho kyā
yuuñ to mujhe bhī shikva hai un se magar 'malāl'
hālāt is tarah ke haiñ logoñ se bhī ho kyā
jab samne ki baat hi uljhi hui mile
phir dur dekhti hui aankhon se bhi ho kya
hathon se chhu ke pahle ujala karen talash
jab raushni na ho to nigahon se bhi ho kya
hairat-zada se rahte hain apne madar par
us ke alawa chand sitaron se bhi ho kya
pagal na ho to aur ye pani bhi kya kare
wahshi na hon to aur hawaon se bhi ho kya
jab dekhne lage koi chizon ke us taraf
aankhen bhi teri kya karen baaton se bhi ho kya
yun to mujhe bhi shikwa hai un se magar 'malal'
haalat is tarah ke hain logon se bhi ho kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.