jab samundar ki usne KHwahish ki
jab samundar kī us ne ḳhvāhish kī
merī āñkhoñ ne ḳhuub bārish kī
aap haiñ kis liye pashemāñ se
maiñ ne zaḳhmoñ kī kab numā.ish kī
ek ik harf par dharī unglī
kyā mirī aap ne satā.ish kī
ik makāñ vo jise na dekhā thā
umr-bhar us meñ hī rihā.ish kī
kaise murda-zamīr logoñ meñ
zinda rahne kī ham ne koshish kī
ham ne to kuchh nahīñ kiyā lekin
aap ne kyā kiyā jo sāzish kī
ḳhud ko jab chaak par dharā 'iqrār'
phir zamānoñ ke gird gardish kī
jab samundar ki us ne KHwahish ki
meri aankhon ne KHub barish ki
aap hain kis liye pasheman se
main ne zaKHmon ki kab numaish ki
ek ek harf par dhari ungli
kya meri aap ne sataish ki
ek makan wo jise na dekha tha
umr-bhar us mein hi rihaish ki
kaise murda-zamir logon mein
zinda rahne ki hum ne koshish ki
hum ne to kuchh nahin kiya lekin
aap ne kya kiya jo sazish ki
KHud ko jab chaak par dhara 'iqrar'
phir zamanon ke gird gardish ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.