jab samundar meri aankhon mein simaT jata hai
jab samundar mirī āñkhoñ meñ simaT jaatā hai
tishnagī terā bharam aur bhī ghaT jaatā hai
jab bhī sach ke liye āvāz uThātā huuñ maiñ
merī gardan se koī saañp lipaT jaatā hai
koshisheñ barsoñ baras jiine kī kartā hai magar
aadmī vaqt se pahle hī nibaT jaatā hai
ūñchī āvāz meñ aulād ke chillāne par
būḌhe māñ-bāp kā dil ranj se phaT jaatā hai
ham haiñ insān jo nafrat kī zabāñ bolte haiñ
ek totā bhī sabaq pyaar kā raT jaatā hai
ek ham haiñ ke jo har baat pe karte haiñ yaqīñ
ek vo hai ki jo va.ade se palaT jaatā hai
jis tarah sote hue raat guzar jaatī hai
Thiik vaise hī burā vaqt bhī kaT jaatā hai
jab samundar meri aankhon mein simaT jata hai
tishnagi tera bharam aur bhi ghaT jata hai
jab bhi sach ke liye aawaz uThata hun main
meri gardan se koi sanp lipaT jata hai
koshishen barson baras jine ki karta hai magar
aadmi waqt se pahle hi nibaT jata hai
unchi aawaz mein aulad ke chillane par
buDhe man-bap ka dil ranj se phaT jata hai
hum hain insan jo nafrat ki zaban bolte hain
ek tota bhi sabaq pyar ka raT jata hai
ek hum hain ke jo har baat pe karte hain yaqin
ek wo hai ki jo wade se palaT jata hai
jis tarah sote hue raat guzar jati hai
Thik waise hi bura waqt bhi kaT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.