jab se aankhon mein koi KHwab-e-hasin rakkha hai
jab se āñkhoñ meñ koī ḳhvāb-e-hasīñ rakkhā hai
us kī ta.abīr kā tohfa bhī kahīñ rakkhā hai
jis kī fitrat hai sadā logoñ ko dhokā denā
kyoñ use aap ne phir apnā amiiñ rakkhā hai
sab ko detā huuñ mohabbat kā hasīñ guldasta
jazba nafrat kā kabhī dil meñ nahīñ rakkhā hai
garche haivāniyat aane lagī us meñ phir se
maiñ ne insān kī azmat pe yaqīñ rakkhā hai
justujū kartā huuñ us kī maiñ baḌī muddat se
vo ḳhazāna jo kahīñ zer-e-zamīñ rakkhā hai
shahr-e-jāñ meñ hai ujālā isī ḳhātir ai 'samar'
dil ke ḳhāne meñ unheñ maiñ ne makīñ rakkhā hai
jab se aankhon mein koi KHwab-e-hasin rakkha hai
us ki tabir ka tohfa bhi kahin rakkha hai
jis ki fitrat hai sada logon ko dhoka dena
kyon use aap ne phir apna amin rakkha hai
sab ko deta hun mohabbat ka hasin guldasta
jazba nafrat ka kabhi dil mein nahin rakkha hai
garche haiwaniyat aane lagi us mein phir se
main ne insan ki azmat pe yaqin rakkha hai
justuju karta hun us ki main baDi muddat se
wo KHazana jo kahin zer-e-zamin rakkha hai
shahr-e-jaan mein hai ujala isi KHatir ai 'samar'
dil ke KHane mein unhen main ne makin rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.