jab se aankhon mein tere rang bhare hain darwesh
jab se āñkhoñ meñ tire rang bhare haiñ darvesh
ham ko sūkhe hue jangal bhī hare haiñ darvesh
aap ko chashm-e-tasavvur bhī nahīñ chhū saktī
aap zehnoñ ke darīchoñ se pare haiñ darvesh
terī ruḳhsat kā taġhāful to bahut baa'd kī baat
terī aamad se hī ham be-ḳhabare haiñ darvesh
zabt par log qasīde pe qasīda-go haiñ
aur aañsū haiñ ki palkoñ pe dhare haiñ darvesh
is liye aur bhī maġhrūr-e-zamāna ham haiñ
jitne kashkol meñ sikke haiñ khare haiñ darvesh
ik terī rāh-e-rifāqat se zarā paañv haTe
ḳhush-nasībān-e-safar dar-badare haiñ darvesh
dekh hāthoñ meñ laraztī huī talvāreñ dekh
ye sipāhī tirī aahaT se Dare haiñ darvesh
ik zarā ḳhair hī pūchhī thī safar kī maiñ ne
aap to lagtā hai baiThe hī bhare haiñ darvesh
jab se aankhon mein tere rang bhare hain darwesh
hum ko sukhe hue jangal bhi hare hain darwesh
aap ko chashm-e-tasawwur bhi nahin chhu sakti
aap zehnon ke darichon se pare hain darwesh
teri ruKHsat ka taghaful to bahut ba'd ki baat
teri aamad se hi hum be-KHabare hain darwesh
zabt par log qaside pe qasida-go hain
aur aansu hain ki palkon pe dhare hain darwesh
is liye aur bhi maghrur-e-zamana hum hain
jitne kashkol mein sikke hain khare hain darwesh
ek teri rah-e-rifaqat se zara panw haTe
KHush-nasiban-e-safar dar-badare hain darwesh
dekh hathon mein larazti hui talwaren dekh
ye sipahi teri aahaT se Dare hain darwesh
ek zara KHair hi puchhi thi safar ki main ne
aap to lagta hai baiThe hi bhare hain darwesh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.