jab se alfaz ke jangal mein ghira hai koi
jab se alfāz ke jañgal meñ ghirā hai koī
pūchhtā phirtā hai merī bhī sadā hai koī
raah kī dhuul meñ Duubā huā aa pahuñchegā
apne maazī kā pata lene gayā hai koī
raat ke saa.e meñ ik ujḌe hue āñgan meñ
be-sadā ThūñTH ke mānind khaḌā hai koī
jab bhī ghabrā ke tujhe detā huuñ ik aadh sadā
log kahte haiñ ki is ghar meñ balā hai koī
maiñ vo chiTThī huuñ miTā jaatā hai jis kā har harf
paḌh ke ik baar mujhe bhuul gayā hai koī
āsmāñ raat daraḳhtoñ ke qarīb aayā thā
pūchhtā phirtā thā kyā un meñ chhupā hai koī
tum yūñhī vaqt gañvāne pe tule ho 'ābid'
kabhī paanī pe bhalā naqsh banā hai koī
jab se alfaz ke jangal mein ghira hai koi
puchhta phirta hai meri bhi sada hai koi
rah ki dhul mein Duba hua aa pahunchega
apne mazi ka pata lene gaya hai koi
raat ke sae mein ek ujDe hue aangan mein
be-sada ThunTH ke manind khaDa hai koi
jab bhi ghabra ke tujhe deta hun ek aadh sada
log kahte hain ki is ghar mein bala hai koi
main wo chiTThi hun miTa jata hai jis ka har harf
paDh ke ek bar mujhe bhul gaya hai koi
aasman raat daraKHton ke qarib aaya tha
puchhta phirta tha kya un mein chhupa hai koi
tum yunhi waqt ganwane pe tule ho 'abid'
kabhi pani pe bhala naqsh bana hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.