jab se apnai hai fitrat is kali ne Khaar ki
jab se apnā.ī hai fitrat is kalī ne ḳhaar kī
ḳhaar sī lagne lagī hai har kalī gulzār kī
aa ga.e vo daad dene hasrat-e-dīdār kī
ḳhatm hone ko thī jis dam zindagī bīmār kī
chāñd gul qaus-e-quzah sab ko ḳhafā ham ne kiyā
nā-mukammal hī rahī tārīf us ruḳhsār kī
toḌ de tanhā.iyoñ kī āhanī dīvār ko
ḳhāmushī khā jā.egī varna isī dīvār ko
mausam-e-bārish meñ ghar se kam nikalte haiñ sabhī
in dinoñ meñ suukh jaatī hai nadī dīvār kī
yaas ke saa.e meñ hai 'zāhid' umīdoñ kā chaman
zindagī ab muskurāhaT hai kisī bīmār kī
jab se apnai hai fitrat is kali ne KHar ki
KHar si lagne lagi hai har kali gulzar ki
aa gae wo dad dene hasrat-e-didar ki
KHatm hone ko thi jis dam zindagi bimar ki
chand gul qaus-e-quzah sab ko KHafa hum ne kiya
na-mukammal hi rahi tarif us ruKHsar ki
toD de tanhaiyon ki aahani diwar ko
KHamushi kha jaegi warna isi diwar ko
mausam-e-barish mein ghar se kam nikalte hain sabhi
in dinon mein sukh jati hai nadi diwar ki
yas ke sae mein hai 'zahid' umidon ka chaman
zindagi ab muskurahaT hai kisi bimar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.