jab se asir-e-zulf-e-girah-gir ho gaya
jab se asīr-e-zulf-e-girah-gīr ho gayā
meñ be-niyāz-e-halqa-e-zanjīr ho gayā
jaatā kahāñ bhalā tirī mahfil ko chhoḌ kar
maiñ apne aap paañv kī zanjīr ho gayā
nūr-e-jahāñ koī na koī yuuñ to sab kī thī
daulat se ek shaḳhs jahāñgīr ho gayā
mujh meñ rachī huī tirī ḳhushbū thī is liye
baḌh kar 'adū bhī mujh se baġhal-gīr ho gayā
phir bāñdh lī kisī se umīd-e-vafā 'qatīl'
phir ik mahal havāoñ meñ ta.amīr ho gayā
jab se asir-e-zulf-e-girah-gir ho gaya
mein be-niyaz-e-halqa-e-zanjir ho gaya
jata kahan bhala teri mahfil ko chhoD kar
main apne aap panw ki zanjir ho gaya
nur-e-jahan koi na koi yun to sab ki thi
daulat se ek shaKHs jahangir ho gaya
mujh mein rachi hui teri KHushbu thi is liye
baDh kar 'adu bhi mujh se baghal-gir ho gaya
phir bandh li kisi se umid-e-wafa 'qatil'
phir ek mahal hawaon mein tamir ho gaya
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 105)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.