jab se chaman mein apna hua aashiyan udas
jab se chaman meñ apnā huā āshiyāñ udaas
fasl-e-bahār meñ bhī rahā gulsitāñ udaas
bazm-e-nashāt aish-o-tarab ke ma.aal se
honā thā ho rahā hai dil-e-shādmāñ udaas
allāh re ye daur-e-taraqqī kā madd-o-jazr
hai irtiqā-e-aql se saarā jahāñ udaas
ik jām-e-iltifāt kī ḳhātir ai sāqiyā
takte rahe haiñ terī taraf mai-kashāñ udaas
vo kyā payām-e-zīst hameñ deñge dosto
jin ke ḳhayāl-o-fikr ki hai dāstāñ udaas
ojhal nazar se manzil-e-maqsūd dekh kar
ik mīr-e-kārvāñ se huā kārvāñ udaas
ho kar sharīk-e-bazm to 'hamdam' kabhī thā ḳhush
ab jaane kyā huā hai ki vo hai yahāñ udaas
jab se chaman mein apna hua aashiyan udas
fasl-e-bahaar mein bhi raha gulsitan udas
bazm-e-nashat aish-o-tarab ke maal se
hona tha ho raha hai dil-e-shadman udas
allah re ye daur-e-taraqqi ka madd-o-jazr
hai irtiqa-e-aql se sara jahan udas
ek jam-e-iltifat ki KHatir ai saqiya
takte rahe hain teri taraf mai-kashan udas
wo kya payam-e-zist hamein denge dosto
jin ke KHayal-o-fikr ki hai dastan udas
ojhal nazar se manzil-e-maqsud dekh kar
ek mir-e-karwan se hua karwan udas
ho kar sharik-e-bazm to 'hamdam' kabhi tha KHush
ab jaane kya hua hai ki wo hai yahan udas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.