jab se dil mein sama gaya koi
jab se dil meñ samā gayā koī
ek halchal machā gayā koī
rog jī ko lagā gayā koī
merī hastī miTā gayā koī
khoyā khoyā udaas rahtā huuñ
toḌ kar dil chalā gayā koī
phir koī choT lag ga.ī dil par
yak-ba-yak yaad aa gayā koī
ek bijlī sī gir paḌī dil par
jab kabhī muskurā gayā koī
ab ye ashkoñ se bujh nahīñ saktī
aag aisī lagā gayā koī
be-sabab is jahāñ meñ jiine kī
de ke mujh ko duā gayā koī
ishq ko jaan kar baḌī ne.amat
ishq mujh se jatā gayā koī
raat bhar jāgne kī ulfat meñ
de ke mujh ko sazā gayā koī
maiñ use be-vafā nahīñ kahtā
ruuTh kar gar chalā gayā koī
de ke ḳhushiyāñ tamām aalam ko
ġham kā rutba baḌhā gayā koī
dars jiine kā ik nayā 'rāmish'
jaate jaate sikhā gayā koī
jab se dil mein sama gaya koi
ek halchal macha gaya koi
rog ji ko laga gaya koi
meri hasti miTa gaya koi
khoya khoya udas rahta hun
toD kar dil chala gaya koi
phir koi choT lag gai dil par
yak-ba-yak yaad aa gaya koi
ek bijli si gir paDi dil par
jab kabhi muskura gaya koi
ab ye ashkon se bujh nahin sakti
aag aisi laga gaya koi
be-sabab is jahan mein jine ki
de ke mujh ko dua gaya koi
ishq ko jaan kar baDi neamat
ishq mujh se jata gaya koi
raat bhar jagne ki ulfat mein
de ke mujh ko saza gaya koi
main use be-wafa nahin kahta
ruTh kar gar chala gaya koi
de ke KHushiyan tamam aalam ko
gham ka rutba baDha gaya koi
dars jine ka ek naya 'ramish'
jate jate sikha gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.