jab se furqat pe tamanna ki kashish wari hai
jab se furqat pe tamanna kī kashish vaarī hai
tishnagī dost hai ranjish se mirī yaarī hai
saañs khīñchūñ to aziyyat kā gumāñ hotā hai
jism meñ ḳhuun kā daurān bahut kaarī hai
jin zamānoñ meñ mujhe chhoḌ diyā thā tum ne
mujh pe us daur ke lamhoñ kī thakan taarī hai
jashn barpā hai zamāne meñ mirī himmat kā
āsmānoñ meñ mire karb kī sardārī hai
ḳhud-kushī koī burā fe'l nahīñ hai lekin
merī ammī ko mirī jaan bahut pyārī hai
jab se furqat pe tamanna ki kashish wari hai
tishnagi dost hai ranjish se meri yari hai
sans khinchun to aziyyat ka guman hota hai
jism mein KHun ka dauran bahut kari hai
jin zamanon mein mujhe chhoD diya tha tum ne
mujh pe us daur ke lamhon ki thakan tari hai
jashn barpa hai zamane mein meri himmat ka
aasmanon mein mere karb ki sardari hai
KHud-kushi koi bura fe'l nahin hai lekin
meri ammi ko meri jaan bahut pyari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.