jab se hum rakhne lage hain kaam apne kaam se
jab se ham rakhne lage haiñ kaam apne kaam se
vo udhar ārām se haiñ ham idhar ārām se
ye bhī kaT jā.egī jo thoḌī bahut baaqī hai umr
ham yahī karte raheñge kaam apne aam se
is dar-e-insāf ke darbāñ bhī haiñ munsif bahut
ham jūñhī fariyād se baaz aa.e vo dushnām se
āshiqī meñ lutf to saarā tajassus kī hai den
kar diyā āġhāz meñ kyoñ āshnā anjām se
ḳhaak se bantī hai jaise ḳhisht ham kuchh is tarah
dekh kyā sonā banāte haiñ ḳhayāl-e-ḳhām se
is tarah mil jaa.e shāyad bāryābī kā sharaf
mashvara hai ab ke arzī bhej farzī naam se
yā to vo tasvīr hai pesh-e-nazar yā kuchh nahīñ
haath dho dīdoñ se 'bāsir' ye ga.e ab kaam se
jab se hum rakhne lage hain kaam apne kaam se
wo udhar aaram se hain hum idhar aaram se
ye bhi kaT jaegi jo thoDi bahut baqi hai umr
hum yahi karte rahenge kaam apne aam se
is dar-e-insaf ke darban bhi hain munsif bahut
hum junhi fariyaad se baz aae wo dushnam se
aashiqi mein lutf to sara tajassus ki hai den
kar diya aaghaz mein kyon aashna anjam se
KHak se banti hai jaise KHisht hum kuchh is tarah
dekh kya sona banate hain KHayal-e-KHam se
is tarah mil jae shayad baryabi ka sharaf
mashwara hai ab ke arzi bhej farzi nam se
ya to wo taswir hai pesh-e-nazar ya kuchh nahin
hath dho didon se 'basir' ye gae ab kaam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.