jab se hayat KHugar-e-alam ho gai
jab se hayāt ḳhūgar-e-ālām ho ga.ī
dāman-kashīdgī kī fazā aam ho ga.ī
nikle the vaqt-e-sub.h baḌī ehtiyāt se
do hī qadam chale the ki phir shaam ho ga.ī
aaya huuñ shāhrāh-e-haqīqat se lauT kar
marne kī aarzū thī jo nākām ho ga.ī
dekhe haiñ ham ne aise haqīqat-pasand log
jin kī ki zehniyat bhī siyah-fām ho ga.ī
iz.hār-e-ehtijāj pe ye kaalī paTTiyāñ
taskīn-e-zauq-e-ḳhidmat-e-islām ho ga.ī
is ahd-e-intishār meñ pahchāniye kise
tashḳhīs-e-shahriyat bhī to nīlām ho ga.ī
'hāmid' mazāq-e-dīd na hone ke bāvajūd
chashm-e-pur-iztirāb lab-e-bām ho ga.ī
jab se hayat KHugar-e-alam ho gai
daman-kashidgi ki faza aam ho gai
nikle the waqt-e-subh baDi ehtiyat se
do hi qadam chale the ki phir sham ho gai
aaya hun shahrah-e-haqiqat se lauT kar
marne ki aarzu thi jo nakaam ho gai
dekhe hain hum ne aise haqiqat-pasand log
jin ki ki zehniyat bhi siyah-fam ho gai
izhaar-e-ehtijaj pe ye kali paTTiyan
taskin-e-zauq-e-KHidmat-e-islam ho gai
is ahd-e-intishaar mein pahchaniye kise
tashKHis-e-shahriyat bhi to nilam ho gai
'hamid' mazaq-e-did na hone ke bawajud
chashm-e-pur-iztirab lab-e-baam ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.