jab se hue jazbaat ki farhang se waqif
jab se hue jazbāt kī farhang se vāqif
ham log haiñ har chehre ke har rang se vāqif
kyā un se laḌā.ī meñ maza aa.egā ham ko
maidān meñ aa.e haiñ nahīñ jang se vāqif
phir bahs na kī ham ne kabhī bhuul ke un se
jab ho ga.e zehnoñ pe lage zang se vāqif
hoñToñ pe hañsī dekh ke jo khā ga.e dhokā
vo log nahīñ dard ke is rang se vāqif
siine se pahāḌoñ ke nikal saktī haiñ nahreñ
ho jaa.e gar insān rag-e-sang se vāqif
rahtī hai 'shakīl' us ke hī qaabū meñ ye duniyā
hotā hai jo duniyā ke har ik Dhang se vāqif
jab se hue jazbaat ki farhang se waqif
hum log hain har chehre ke har rang se waqif
kya un se laDai mein maza aaega hum ko
maidan mein aae hain nahin jang se waqif
phir bahs na ki hum ne kabhi bhul ke un se
jab ho gae zehnon pe lage zang se waqif
honTon pe hansi dekh ke jo kha gae dhoka
wo log nahin dard ke is rang se waqif
sine se pahaDon ke nikal sakti hain nahren
ho jae gar insan rag-e-sang se waqif
rahti hai 'shakil' us ke hi qabu mein ye duniya
hota hai jo duniya ke har ek Dhang se waqif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.