jab se ek chand ki chahat mein sitara hua hun
jab se ik chāñd kī chāhat meñ sitārā huā huuñ
shahr-e-shab-zād kī āñkhoñ ko sahārā huā huuñ
ai mire dard ke dariyā kī ravānī mujhe dekh
maiñ tire qurb se kaT-kaT ke kinārā huā huuñ
bujh ga.e jab mire sab ḳhvāb-o-charāg-o-māhtāb
shahr-e-zulmat ko maiñ tab jā ke gavārā huā huuñ
zindagī tujh sā munāfiq bhī koī kyā hogā
tirā shahkār huuñ aur terā hī maarā huā huuñ
zaḳhm gintā huuñ shab-e-hijr meñ aur sochtā huuñ
maiñ to apnā bhī na thā kaise tumhārā huā huuñ
sāmne phir mire apne haiñ so maiñ jāntā huuñ
jiit bhī jā.ūñ to ye jang maiñ haarā huā huuñ
maiñ payambar huuñ na ho saktā huuñ phir bhī 'ahmad'
aisā lagtā hai sar-e-ḳhāk utārā huā huuñ
jab se ek chand ki chahat mein sitara hua hun
shahr-e-shab-zad ki aankhon ko sahaara hua hun
ai mere dard ke dariya ki rawani mujhe dekh
main tere qurb se kaT-kaT ke kinara hua hun
bujh gae jab mere sab KHwab-o-charag-o-mahtab
shahr-e-zulmat ko main tab ja ke gawara hua hun
zindagi tujh sa munafiq bhi koi kya hoga
tera shahkar hun aur tera hi mara hua hun
zaKHm ginta hun shab-e-hijr mein aur sochta hun
main to apna bhi na tha kaise tumhaara hua hun
samne phir mere apne hain so main jaanta hun
jit bhi jaun to ye jang main haara hua hun
main payambar hun na ho sakta hun phir bhi 'ahmad'
aisa lagta hai sar-e-KHak utara hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.