jab se ek shoKH-nazar phail gai chehre par
jab se ik shoḳh-nazar phail ga.ī chehre par
ātish-e-barq-o-sharar phail ga.ī chehre par
baat chupke se mohabbat ne mere kaan meñ kī
aur ḳhushiyoñ kī ḳhabar phail ga.ī chehre par
raah meñ us kī jalā.e the umīdoñ ne charāġh
raushnī kī thī kidhar phail ga.ī chehre par
kis ne shīshe kī tarah toḌ diyā thā us ko
choT dil meñ thī magar phail ga.ī chehre par
sāl-hā-sāl kī rātoñ ke pare aa.ī thī
umr bhar ko vo sahar phail ga.ī chehre par
sard-jazboñ pe taras khā ke ye ehsās kī dhuup
dil pe karne ko asar phail ga.ī chehre par
ġham ke kuchh sañg-e-garāñ jab se mire dil pe gire
ik nadī thī jo udhar phail ga.ī chehre par
ḳhvāb manzil ke sajā.e the merī āñkhoñ ne
aur 'hinā' gard-e-safar phail ga.ī chehre par
jab se ek shoKH-nazar phail gai chehre par
aatish-e-barq-o-sharar phail gai chehre par
baat chupke se mohabbat ne mere kan mein ki
aur KHushiyon ki KHabar phail gai chehre par
rah mein us ki jalae the umidon ne charagh
raushni ki thi kidhar phail gai chehre par
kis ne shishe ki tarah toD diya tha us ko
choT dil mein thi magar phail gai chehre par
sal-ha-sal ki raaton ke pare aai thi
umr bhar ko wo sahar phail gai chehre par
sard-jazbon pe taras kha ke ye ehsas ki dhup
dil pe karne ko asar phail gai chehre par
gham ke kuchh sang-e-garan jab se mere dil pe gire
ek nadi thi jo udhar phail gai chehre par
KHwab manzil ke sajae the meri aankhon ne
aur 'hina' gard-e-safar phail gai chehre par
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.