jab se jaana hai gham-e-zist se hasil kya hai
jab se jaanā hai ġham-e-zīst se hāsil kyā hai
maiñ yahī soch rahā huuñ mutabādil kyā hai
ḳhvāb āñkhoñ meñ basā.e to huī ye ḳhvāhish
koī ham se bhī ye pūchhe ki ġham-e-dil kyā hai
log har qaid se āzād hue jaate haiñ
pūchhiye kis se ki ab kār-e-salāsil kyā hai
kis ko fursat hai kare ham ko jo zinda sābit
bas yahī ek vakīl apnā hai qātil kyā hai
naqsh ma.adūm hue jaate haiñ rafta rafta
ai ḳhudā aaj mirī raah meñ haa.il kyā hai
ā.ina-ḳhāne meñ ye dekh rahā huuñ 'rāhat'
muḳhtalif kyā hai yahāñ aur mutamassil kyā hai
jab se jaana hai gham-e-zist se hasil kya hai
main yahi soch raha hun mutabaadil kya hai
KHwab aankhon mein basae to hui ye KHwahish
koi hum se bhi ye puchhe ki gham-e-dil kya hai
log har qaid se aazad hue jate hain
puchhiye kis se ki ab kar-e-salasil kya hai
kis ko fursat hai kare hum ko jo zinda sabit
bas yahi ek wakil apna hai qatil kya hai
naqsh madum hue jate hain rafta rafta
ai KHuda aaj meri rah mein hail kya hai
aaina-KHane mein ye dekh raha hun 'rahat'
muKHtalif kya hai yahan aur mutamassil kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.