jab se jaana hai ki duniya mein wafa koi nahin
jab se jaanā hai ki duniyā meñ vafā koī nahīñ
phir kisī se bhī rahā ham ko gila koī nahīñ
har taraf jhuuT hai dhokā hai be-īmānī hai
aur iḳhlās-o-mohabbat kā sila koī nahīñ
har zabāñ par gile shikve to bahut haiñ lekin
harf-e-tahsīn nahīñ lafz-e-duā koī nahīñ
ajnabī ho ga.e vo log jo apne the kabhī
ham se az-rāh-e-muravvat bhī milā koī nahīñ
merī ḳhushiyoñ meñ mire saath zamāna thā magar
mushkileñ aa.iiñ to phir saath chalā koī nahīñ
haq-parastī ke bahut da.ave kiye sab ne magar
rāsta chhoḌ ke bātil kā gayā koī nahīñ
sunte haiñ pahle zamāne meñ bure log the kam
ab to lagtā hai ki duniyā meñ bhalā koī nahīñ
zindagī biit ga.ī saarī magar apne liye
ham ko lamha kabhī fursat kā milā koī nahīñ
ishq ke dasht se guzre to ye mālūm huā
raah pur-ḳhār nahīñ hai to mazā koī nahīñ
vo jo kahte the mire bin nahīñ jī pā.eñge
saare zinda haiñ abhī tak to marā koī nahīñ
muztarib dil hai agar terā to sochā hai kabhī
kaise pā.egā sukūñ is meñ ḳhudā koī nahīñ
jab mohabbat nahīñ duniyā se to shikva kaisā
tere dil meñ to lagan us kī 'sabā' koī nahīñ
jab se jaana hai ki duniya mein wafa koi nahin
phir kisi se bhi raha hum ko gila koi nahin
har taraf jhuT hai dhoka hai be-imani hai
aur iKHlas-o-mohabbat ka sila koi nahin
har zaban par gile shikwe to bahut hain lekin
harf-e-tahsin nahin lafz-e-dua koi nahin
ajnabi ho gae wo log jo apne the kabhi
hum se az-rah-e-murawwat bhi mila koi nahin
meri KHushiyon mein mere sath zamana tha magar
mushkilen aain to phir sath chala koi nahin
haq-parasti ke bahut dawe kiye sab ne magar
rasta chhoD ke baatil ka gaya koi nahin
sunte hain pahle zamane mein bure log the kam
ab to lagta hai ki duniya mein bhala koi nahin
zindagi bit gai sari magar apne liye
hum ko lamha kabhi fursat ka mila koi nahin
ishq ke dasht se guzre to ye malum hua
rah pur-KHar nahin hai to maza koi nahin
wo jo kahte the mere bin nahin ji paenge
sare zinda hain abhi tak to mara koi nahin
muztarib dil hai agar tera to socha hai kabhi
kaise paega sukun is mein KHuda koi nahin
jab mohabbat nahin duniya se to shikwa kaisa
tere dil mein to lagan us ki 'saba' koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.