jab se KHizan ki zad mein hai mera chaman tamam
jab se ḳhizāñ kī zad meñ hai merā chaman tamām
ojhal chaman se ho ga.e gul-pairahan tamām
yaad aa gayā kisī kā bichhaḌnā to yuuñ lagā
ho zaḳhm zaḳhm jaise mirā tan badan tamām
ye kaun thā jo aaya hañsā aur chalā gayā
tā der khoī khoī rahī anjuman tamām
kyā harf-o-lafz lauh-o-qalam kā bharam rahe
haiñ qaid apne ḳhol meñ arbāb-e-fan tamām
dāġh-e-firāq talḳhī-e-ayyām karb-e-zāt
tere liye qubūl haiñ ranj-o-mehan tamām
hone diyā na kam tirī yādoñ kā hausla
chādar samajh kar oḌh rahī huuñ thakan tamām
terī hī zaat hai mirā mauzūa-e-shā.erī
tujh par nisār daulat-e-sher-o-suḳhan tamām
aaya 'vafā' mirā gul-e-ra.anā chaman meñ jab
qurbān us pe ho ga.e sarv-o-saman tamām
jab se KHizan ki zad mein hai mera chaman tamam
ojhal chaman se ho gae gul-pairahan tamam
yaad aa gaya kisi ka bichhaDna to yun laga
ho zaKHm zaKHm jaise mera tan badan tamam
ye kaun tha jo aaya hansa aur chala gaya
ta der khoi khoi rahi anjuman tamam
kya harf-o-lafz lauh-o-qalam ka bharam rahe
hain qaid apne KHol mein arbab-e-fan tamam
dagh-e-firaq talKHi-e-ayyam karb-e-zat
tere liye qubul hain ranj-o-mehan tamam
hone diya na kam teri yaadon ka hausla
chadar samajh kar oDh rahi hun thakan tamam
teri hi zat hai mera mauzua-e-shaeri
tujh par nisar daulat-e-sher-o-suKHan tamam
aaya 'wafa' mera gul-e-rana chaman mein jab
qurban us pe ho gae sarw-o-saman tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.