jab se kisi ka dard hamare jigar mein hai
jab se kisī kā dard hamāre jigar meñ hai
ham ko sukūñ safar meñ na ārām ghar meñ hai
shah-rag se bhī ziyāda ḳhudā to qarīb hai
pahchān phir bhī terī na apnī nazar meñ hai
dil se hisāb letā huuñ har shab isī liye
mahshar meñ ḳhauf khāne kā manzar nazar meñ hai
ḳhāk-e-bashar ko ḳhaak meñ milnā zarūr hai
lekin baqā kā raaz fanā ke safar meñ hai
duniyā meñ ḳhair-o-shar ko samajhne ke vāste
kuchh to ishāra gardish-e-shām-o-sahar meñ hai
barsoñ ke tajrabe se 'ravish' ye ayaañ huā
sab kuchh ḳhudā kā hai jo mizāj-e-bashar meñ hai
jab se kisi ka dard hamare jigar mein hai
hum ko sukun safar mein na aaram ghar mein hai
shah-rag se bhi ziyaada KHuda to qarib hai
pahchan phir bhi teri na apni nazar mein hai
dil se hisab leta hun har shab isi liye
mahshar mein KHauf khane ka manzar nazar mein hai
KHak-e-bashar ko KHak mein milna zarur hai
lekin baqa ka raaz fana ke safar mein hai
duniya mein KHair-o-shar ko samajhne ke waste
kuchh to ishaara gardish-e-sham-o-sahar mein hai
barson ke tajrabe se 'rawish' ye ayan hua
sab kuchh KHuda ka hai jo mizaj-e-bashar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.