jab se koi mera ham-safar ho gaya
jab se koī mirā ham-safar ho gayā
zindagī kā safar mo'tabar ho gayā
mo'tabar ho ke nā-mo'tabar ho gayā
kis kī chāhat meñ maiñ dar-ba-dar ho gayā
tum ne aane kī zahmat gavārā jo kī
misl firdaus ke merā ghar ho gayā
mushkileñ jis qadar rāstoñ kī baḌhīñ
aur āsāñ hamārā safar ho gayā
jis pe bhī ho gayā us nazar kā karam
apnī hī zaat se be-ḳhabar ho gayā
mujh ko dekhā hai us ne kis andāz se
dil meñ paivast tīr-e-nazar ho gayā
qāfile kā har ik fard hai muntashir
ġham na jaane kahāñ rāhbar ho gayā
jab se ‘rizvāñ’ huā sāhab-e-sīm-o-zar
us kā jo 'aib thā vo hunar ho gayā
jab se koi mera ham-safar ho gaya
zindagi ka safar mo'tabar ho gaya
mo'tabar ho ke na-mo'tabar ho gaya
kis ki chahat mein main dar-ba-dar ho gaya
tum ne aane ki zahmat gawara jo ki
misl firdaus ke mera ghar ho gaya
mushkilen jis qadar raston ki baDhin
aur aasan hamara safar ho gaya
jis pe bhi ho gaya us nazar ka karam
apni hi zat se be-KHabar ho gaya
mujh ko dekha hai us ne kis andaz se
dil mein paiwast tir-e-nazar ho gaya
qafile ka har ek fard hai muntashir
gham na jaane kahan rahbar ho gaya
jab se ‘rizwan’ hua sahab-e-sim-o-zar
us ka jo 'aib tha wo hunar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.